Wah kiya Jood-o-Karam he shah-e-batha tera lyrics
Wah Kiya Jood-o-Karam he shah-e-batha tera lyrics
1. WAH KiYA JOOD-O-KARAM HE SHAH-E-BATHA TERA
Wah kiya Jood-o-Karam he shah-e-batha tera,
Nahi sunta hi nahin maangne waala tera.
Dhaare chalte hen ataa ke woh he qatrah tera,
Taare khilte hen sakha ke woh he zarrah tera.
Faiz he ya shah-e-tasneem niralaa tera,
Aap pyaason ke tajassus mein he daryaa tera.
Aghniya palte hen dar sey woh he baara tera,
Asfiya Chalte hen sar sey woh he rasta tera.
Farsh waale teri shaukat ka uloo kya jaanein,
Khusrawaa arsh pe urta he pharera tera.
Aasmaan khwaan, zameen khwaan, zamaana mehmaan,
Saahib-e-khaana laqab kis ka he tera tera.
Main to maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yaani mehboob-o-muhib mein nahin meraa tera.
Tere qadmon mein jo hen ghair ka munh kya dekhein,
Kaun nazron pe charhe dekh ke talwaa tera.
Behr-e-Saail ka hoon saail nah kunwe ka pyasaa,
Khud bujhaa jaaye kaleja mera cheenta tera.
Chor hakim sey chupa karte hen yaa'n uske khilaaf,
Tere daaman mein chupe chor anokha tera.
Aankhein thandi hon jigar taaze hon jaanein sairaab,
Sachhe sooraj woh dil aaraa he ujaala tera.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें