Wah kya Jood-o-Karam he shahe-batha tera-lyrics
Wah kiya Jood-o-Karam he shahe -batha tera lyrics
- Waah kya Jood-o-Karam he shah-e-batha tera
Nahi sunta hi nahi maangne wala tera
- Dhaare chalte hen ataa ke woh he qatrah tera
Tare khilte hen sakha ke woh he zarrah tera
- Faiz he ya shahe -tasneem niralaa tera
Aap piyason ke tajas-sus me he daryaa tera
- Aghniyan palte hen dar se woh he bara tera
Asfiyan Chalte hen sar se woh he rasta tera
- Farsh waale teri shaukat ka uloo kya jaanein
Khusrawaa arsh pe urta he pharera tera
- Aasmaan khwaan, zameen khwaan, zamaana mehmaan
Saahib-e-khaana laqab kis ka he tera tera
- Main to maalik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yaani mehboob-o-muhib me nahin meraa tera
- Tere qadmon me jo hain ghair ka munh kya dekhein,
Kaun nazron pe charhe dekh ke talwaa tera
- Behr-e-Saail ka hoon saail nah kunwe ka pyasaa,
Khud bujhaa jaaye kaleja mera cheenta tera
- Chor hakim se chupa karte hain yaa'n uske khilaaf,
Tere daaman me chupe chor anokha tera
- Aankhein thandi hon jigar taaze hon jaanein sairaab,
Sachhe sooraj woh dil aaraa he ujaala tera
Dil abas khauf se patta saa uraa jaata he
- Dil abas khauf se patta saa uraa jaata he,
Palla halka sahi bhaari he bharosa tera.
- ik me kiya mere isiyaan ki haqeeqat kitni,
Mujh se so lakh ko kaafi he ishaara tera.
- Muft paala thaa kabhi kaam ki aadat na parri,
Ab 'amal poochte hain haaye nikamma tera.
- Tere tukron se pale gher ki thokar pe na daal,
Jhirkiyaan khaayein kahaan chhor ke sadqa tera.
- Khwaar-o-beemaar-o-khatawaar-o-gunahgaar hoon me,
Raafe-o-naafe-o-shaafe laqab aaqa tera.
- Meri taqdeer buri ho toh bhali kar dey ke he,
Mehwe isbaat ke daftar pey karora tera.
- Tu jo chaahe toh abhi mail mere dil ke dhulein,
Ke Khuda dil nahin karta kabhi mailaa tera.
- Kis ka munh takiye kahaan jaaiye kis se kahiye,
Tere hi qadmon me mit jaaye yeh paala tera.
- Tu ne islaam diya tu ney jama'at me liyaa,
Tu karim ab koi pherta he attiyyah tera
- Maut suntaa hoon sitam talkh he zehr aab-e-naab,
Kaun laa dey mujhe talwon ka ghasaalah tera.
- Door kiya jaaniye badkaar pey kaisi guzre,
Tere hi dar pey mare bekas-o-tanhaa tera.
- Tere sadqe mujhe ik boond bohot he teri,
Jis din achon ko mile jaam chalaktaa tera.
- Haram-o-Taibah-o-Baghdaad jidhar kijiye nigaah,
Jowt parti he teri noor he chantaa tera.
- Teri sarkar me laa-ta he RAZA usko shafi
Jo meraa Ghaus he or laadlaa betaa tera.
Wah Kiya Martaba Ae Ghaus he bala tera
- Wah kiya martaba Ae Ghaus he bala tera
Oonche oonchon ke saron se qadam aa'laa tera.
- Sar bhalaa kya koi jaane ke he kaisa tera,
Auliya malte hain aankhein woh he talwaa tera.
- Kiya dabe jis pey himaayat ka ho panjah tera,
Sher ko khatre me laata nahin kuttaa tera.
- Tu Husaini Hasani kyoon nah muhiyuddin ho,
Aay khizar majma'-e-bahrain he chashma tera.
- Qasme dey dey ke khilaata he pilaata he tujhe,
Pyaara Allah tera chaahne waala tera.
- Mustafa ke tane bey saaye ka saaya dekha,
Jis ney dekha meri jaan jalwaa-e-zaybaa tera.
- Ibn-e-Zahraa ko mubaarak ho 'aroos-e-qudrat,
Qaadiri paayein tasadduq mere dulhaa tera.
- Kyoon nah qaasim ho ke tu ibn-e-abil-qaasim he,
Kyoon nah qaadir ho ke mukhtaar he baaba tera.
- Nabavi meenh 'alawi fasl batooli gulshan,
Hasani phool Husaini he meheknaa tera.
- Nabavi zil alawi burj batooli manzil,
Hasani chaand Husaini he ujaalaa tera.
- Nabavi khur 'alawi kooh batooli ma'din,
Hasani la'l Husaini he tajallaa tera.
Behr-o-bar sheher-o-quraa sehel-o-hazan dasht-o-chaman
- Behr-o-bar sheher-o-quraa sehel-o-hazan dasht-o-chaman
Kaun se chak pe pohonchtaa nahin da'waa tera
- Husn-e-niyyat ho khataa phir kabhi karta hi nahin
Aazmaayaa he yagaana he dogaana tera.
- 'Arz-e-ahwaal ki pyaason me kahaan taab magar
Aankhein aay abr-e-karam takti hain rastaa tera.
- Maut nazdeek gunaahon ki tahein mail ke khowl
Aa baras jaa ke nahaa dho le ye pyaasa tera.
- Aab aamad woh kahe aur me tayammum bar khaast
Musht khaak apni ho aur noor ka ahlaa tera
- Jaan to jaate hi jaayegi qayaamat ye he
Ke yahaan marne pe thehra he nazaarah tera
- Tujh se dar dar se sag aur sag se he mujh ko nisbat
Meri gardan me bhi he door ka doraa tera
- Is nishaani ke jo sag hain nahi maare jaate
Hashr tak mere gale me rahe patta tera.
- Meri qismat ki qasam khaayein sagaan-e-Baghdad
Hind me bhi hoon to deta rahoon pehra tera
- Teri izzat ke nisaar aay mere ghairat waale
Aah sad aah ke yoon khwaar ho barda tera
- Bad sahi, chor sahi, mujrim-o-naakaarah sahi
Aay woh kaisa hi sahi he to kareema tera.
- Mujh ko ruswaa bhi agar koi kahegaa to yoon hi
Ke wohi naa, wo RAZA banda-e-ruswa tera
- Aay RAZA yoon na bilak tu nahin jayyid to na ho
Sead-e-jayyid-e-har dehr he mawla tera
- Fakhr-e-Aaqa me RAZA aur bhi ik nazm-e-rafee'
Chal likha laayein thanaa khwaanon me chehraa tera
Tu he woh Ghaus ke har Ghaus he shaida tera
- Tu he woh Ghaus ke har Ghaus he shaida tera
Tu he woh ghais ke har ghais he pyaasa tera
- Sooraj aglon ke chamaktey the chamak Kar doobe
Ufaq-e-Noor pe he mehr hamesha tera.
- Murgh sab boltey hain bol ke chup rehte hain
Haan aseel ek nawa sanj rahega tera
- Jo wali qabl the ya ba'd huwe ya hongey,
Sab adab rakhte hain dil me mere Aqaa tera.
- Baqasam kehtey hain shahaan-e-sarifeen-o-hareem,
Ke hua he nah wali ho koi hamtaa tera.
- Tujhse aur dahar ke aqtaab se nisbat kaisi,
Qutub khud kaun he khaadim tera chelaa tera.
- Saare aqtaab jahaan karte hain Kaa'be ka tawaaf,
Kaa'ba karta he tawaaf-e-dar-e-waala tera.
- Aur parwaane hain jo hote hain Kaa'be pey nisaar,
Shama'a ek tu he ke parwaanah he Kaa'ba tera.
- Shajr-e-sar-o-sahee kis ke ugaaye tere,
Maarifat phool sahi kis ka khilaaya tera.
- Tu he naushaah baraati he yeh saara gulzaar,
Laayi he fasl-e-saman goondh ke sehra tera.
- Daaliyan jhoomti hain raqs-e-khushi josh pey he,
Bulbulein jhoolti hain gaati hain sehra tera
- Geet kaliyon ki chatak ghazlein hazaaron ki chehek,
Baagh ke saazon me bajta he taraana tera.
- Saf-e-har shajrah me hoti he salaami teri,
Shaakhein jhuk-jhuk ke baja laati hain mujra tera.
- Kis gulistaan ko nahin fasl —e-bahaari se niyaaz,
Kaun se silsile me faiz nah aaya tera.
- Nahin kis chaand ki manzil me tera jalwa-e-noor,
Nahin kis aaine ke ghar me ujaala tera
------------- --------- --------- ---------
- Raaj kis sheher me kartey nahin tere khuddaam,
Baaj kis neher se letaa nahin darya tera
- Mazr'ae Chisht-o-Bukhara-o-Iraaq-o-Ajmer,
Kaun si kisht pey barsa nahin jhaala tera
- Aur mehboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahin,
Yoon to mehboob he har chaahne wala tera.
- Is ko sau fard sarapaa ba-faraghat oorhein,
Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera.
- Gardanein jhuk gayin sar bich gaye dil laut gaye,
Kashf-e-saaq aaj kahaan yeh to qadam tha tera.
- Taaj-e-farq-e-irfaa kis ke qadam ko kahiye,
Sar jise baaj dein woh paaon he kiska tera.
- Sukr ke josh me jo hain woh tujhe kya jaanein,
Khidr ke hosh se pooche koi rutba tera
- Aadmi apne hi ehwaal pey karta he qiyaas,
Nashe waalon ney bhula sukr nikaala tera
- Woh to choota hi kaha chahein ke hain zer-e-hadeed
Aur har auj se ooncha he sitarah tera.
- Dil-e-aa'da ko RAZA tez namak ki dhun he,
Ek zara aur chirakta rahey khaamah tera.
AL AMAAN QEHER HE AAY GHAUS WOH TEEKHA TERA
- A1 amaan qeher he aay Ghaus woh teekha tera,
Mar ke bhi chain se sotaa nahin maara tera.
- Baadalon se kahin rukti he karakti bijlee,
Dhaalein cheent jaati hain uthta he jo tegha tera.
- Aks ka dekh ke munh aur biphar jaata he,
Chaar aaina ke bal ka nahin nezaa tera.
- Koh-e-sar mukh ho to ek waar me do par kaale,
Haath parta hi nahin bhool ke aucha tera.
- Is pey yeh qeher ke ab chand mukhalif tere,
Chahate hain ke ghata dein kahin paaya tera.
- Aql hoti to Khuda se nah laraai lete
Yeh ghatayen uoose manzoor barhana tera.
- Wa-rafa-naa laka zikrak ka he saya tujh par
Bol bala he tera zikr he ooncha tera
- Mit gaye mit te hen mit jayenge aa-daa tere
Na mitaa he na mitega kabhi charcha tera.
- Tu ghataaye se kisi ke na ghata he na ghatay,
Jab barhaaye tujhe Allah Ta'ala tera.
- Samm-e-qaatil he Khuda ki qasam unka inkaar,
Munkir-e-fadl-e-Huzoor aah ye likkha tera.
- Mere seaaf ke khanjar se tujhe baak nahin,
Cheer kar dekhe koi aah kaleja tera.
- Ibn-e-Zahra se tere dil me hain ye zeher bhare,
Bal be ow munkir-e-be baak yeh zuhra tera.
- Baaz-e-ashhab ki ghulaami se yeh aankhein phirni,
Dekh ur jayega imaan ka tota tera.
- Shaakh par baith ke jar kaatne ki fikr me hain,
Kahin neecha na dikhee tujhe shajra tera.
- Haq se bad ho ke zamaane ka bhala banta he,
Are main khoob samajhta hoon mua'mma tera.
- Sag-e-dar qeher se dekhe to bikharta he abhi,
Band band-e-badan aay roobeh duniya tera
- Gharz aaqa se karoon arz ke teri he panaah
Bandah majboor he khaatir pe he qabza tera
- Hukm-e-naafiz he tera khaamah tera saif teri
Dam main jo chaahe kare dor he shahaa tera
- Jis ko lalkaar de aata to ultaa phir jaaye
Jis ko chamkaar le har phir ke woh tera tera
- Kunjiyan dil ki Khuda ne tujhe dein aisi kar
Ke yeh seena ho mohabbat ka khazeena tera
- Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-rajeem
Ulte hi paaon phire dekh ke tughra tera
- Naz'aa me gor me meezaan pe sar-e-pul pe kahin
Na chutay haath se daamaan-e-mu'alla tera
- Dhoop mahshar ki woh jaan soz qayaamat he magar
Mutmain hoon ke mere sar pe he pallaa tera
- Bahjat is sir ki he jo bahjatul asraar me he
Ke falak waar mureedon pe he saaya tera
- Ae RAZA cheest-e-gham ar jumlah jahan dushman-e-tust
Kardah am maamane khud qibla-e-haajaate raa
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें