Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Lyrics | Ala Hazrat Naat Lyrics
Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Lyrics | Ala Hazrat Naat Lyrics
Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega Lyrics | Ala Hazrat Naat Lyrics |
Lutf Unka Am Ho Hi Jayega
Shad Har Na Kam Ho Hi Jayega
Jan De Do Wada-E Didar Par
Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega
Shad He Firdous Yani Ek Din
Qismat-E-Khuddam Ho Hi Jayega
Yad Reh Jayengi Yeh Be Bakiyan
Nafs To To Ram Ho Hi Jayega
Be Nishano Ka Nishan Mit Ta Nahin
Mit Te Mit Te Nam Ho Hi Jayega
Yad-E-Gesu Zikr-E- Haq He Ah Kar
Dil Me Paida Lam Ho Hi Jayega
Ek Din Awaz Badleinge Yeh Saz
Cheh Chaha Kohram Ho Hi Jayega
Sailo Daman Sakhi Ka Tham Lo
Kuch Na Kuch In'am Ho Hi Jayega
Yad-E-Abru Karke Tarpo Bulbulo
Tukre-Tukre Dam Ho Hi Jayega
Mufliso Unki Gali Me Ja Paro
Bagh-E-Khuld Ikram Ho Hi Jayega
Gar Yoonhi Rahmat Ki Tawilein Rahein
Madh Har Ilzam Ho Hi Jayega
Badah Khawari Ka Saman Bandhne To Do
Shaikh Durd A Sham Ho Hi Jayega
Gham To Unko Bhool Kar Lipta Hain Yoon
Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega
Mit Ke Gar Yoonhi Raha Qarz-E-Heat
Jan Ka Neelam Ho Hi Jayega
Aaqilo Unki Nazar Seedhi Rahe
Bauron Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega
Ab To Layi He Shafa'at Afw Par
Barhte Barhte Aam Ho Hi Jayega
Ae Raza Har Kam Ka Ek Waqt He
Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega
Ham Khak Hain Aur Khak Hi Mawa He Hamara
Ham Khak Hain Aur Khak Hi Mawa He Hamara
Khaki To Woh Adam Jad-E-Ala He Hamara
Allah HaMe Khak Kare Apni Talab Me
Yeh Khak To Sarkar Se Tamgha He Hamara
Jis Khak Pe Rakhte The Qadam Sayyid-E-'Alam
Us Khak Pe Qurban Dil-E Shaida He Hamara
Kham Ho Gayi Pusht-E-Falak Iss Ta'ane Zameen Se
Sun Ham Pe Madinah He Wo Rutba He Hamara
Usne Laqab-E-Khaq Shahenshah Se Paya
Jo Haider-E-Karrar Ke Maula He Hamara
Ay Mudda'eyo! Khak Ko Turn Khak Na Samjhe
Is Khak Me Madfoon Shah-E-Batha He Hamara
He Khak Se Ta'ameer Mazar-E-Shah-E-Kounain
Ma'mur Isi Khak Se Qiblah He Hamara
Ham Khak Urain Ge Jo Wo Khak Na Payi
Abad Raza Jis Pe Madinah He Hamara
Gham Ho Gaye Beshumar Aaqa
Gham Ho Gaye Beshaar Aaqa
Bandah Tere Nisar Aaqa
Bigra Jata He Khel Mera
Aaqa Aqa Sanwar Aaqa
Manjhdar Pe Ake Naw Tooti
De Hath Ke Hoon Main Par Aaqa
Tooti Jati He Peeth Meri
Lillah Ye Bojh Utar Aaqa
Halka He Agar Hamara Palla
Bhari He Tera Waqar Aaqa
Majboor Hain Ham To Fikr Kiya He
Turn Ko To He Ikhtiyar Aaqa
Main Door Hoon Turn To Ho Mere Pas
Sun Lo Meri Pukar Aqa
Mujh Sa Koi Ghamzadah Na Hoga
Turn Sa Nahin Gham Gusar Aaqa
Girdab Me Par Gayi He Kashti
Dooba Dooba Utar Aqa
Turn Woh Ke Karam Ko Naz Turn Se
Main Woh Ke Badi Ko Ar Aqa
Phir Munh Na Pare Kabhi Khizan Ka
De De Aisi Bahar Aaqa
Jis Ki Marzi Khuda Na Tale
Mera He Woh Namdar Aaqa
He Mulk-E-Khuda Pe Jiska Qabza
Mera He Woh Kamgar Aqa
Soya Kiye Nabakar Bande
Roya Kiye Zar Zar Aaqa
Kiya Bhool He Unke Hote Kehlaein
Duniya Kay Yeh Tajdar Aqa
Unke Adna Gada Pe Mit Jayein
Aise Aise Hazar Aaqa
Be Abr-E-Karam Ke Mere Dhabbe
La Taghsiluha-Al-Bihar Aaqa
Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yaqrubuhu-Ul-Bawar Aaqa
Muhammad Mazhar-E-Kamil
Muhammad Mazhar-E-Kamil Hain Haq Ki Shan-E-Izzat Ka
Nazar Ata He Is Kasrat Me Kuch Andaz Wahdat Ka
Yahi He Asl-E-Alam-E-Madah Ijad-E-Khalqat Ka
Yahan Wahdat Me Barpa He Ajab Hangama Kasrat Ka
Gada Bhi Muntazir He Khuld Me Nekon Ki Da'wat Ka
Khuda Din Khair Se Laye Sakhi Ke Ghar Ziyafat Ka
Gunah Maghfoor Dil Raushan Khanak Ankhein Jigar Thanda
Ta'ala-Allah Mah-E-Taiba Alam Teri Tal'at Ka
Na Rakhi Gul Ke Josh-E-Husn Ne Gulshan Meja Baqi
Chatakta Phir Kahan Ghuncha Koi Bagh-E-Risalat Ka
Barha Ye Silsila-E-Rahmat Ka Daur-E-Zulf-E-Wala Me
Tasalsal Kale Koson Reh Gaya Isiyan Ki Zulmat Ka
Saf-E-Matam Uthe Khali Ho Zindan Tootein Zanjeerain
Gunahgaro Chalo Mawla Ne Dar Khola He Jannat Ka
Sikhaya He Yeh Kis Gustakh Ne Aina Ko Ya Rab
Nazarah Rooye Janan Ka Bahana Kar Ke Hairat Ka
Idhar Ummat Ki Hasrat Par Udhar Khaliq Ki Rahmat Par
Nirala Taur Hoga Gardish-E-Chashme Shafa'at Ka
Barhein Is Darja Maujein Kasrat-E-Afdal-E-Wala Ki
Kinarah Mil Gaya Is Neher Se Darya-E-Wahdat Ka
Kham-E-Zulf-E-Nabi Sajid He Mehrab-E-Do Abru Me
Ke Ya Rab Tu Hi Wali He Siyah Karan-E-Ummat Ka
Madad Ay Joshish-E-Girya Baha De Kooh Aur Sehra
Nazar A Jaye Jalwa Be Hijab Us Pak Turbat Ka
Hue Kam Khwabi-E-Hijran Me Saton Parde Kam Khwabi
Tassawwur Khoob Bandha Ankhon Ne Astar-E-Turbat Ka
Yaqeen He Waqt-E-Jalwah Laghzishain Paye Negah Paye
Mile Josh-E-Safaye Jism Se Pa Bos Hazrat Ka
Yahan Chirka Namak Wa Marham-E-Kafoor Hath Aya
Dil-E-Zakhmi Namak Parwardah He Kis Ki Malahat Ka
Ilahi Muntazir Hoon Woh Khiram-E-Naz Farmaein
Bicha Rakha He Farsh Ankhon Ne Kam Khwab-E-Basarat Ka
Na Ho Aqa Ko Sajdah Adam-O-Yusuf Ko Sajdah Ho
Magar Sad-E-Zaray'-E- Dab He Apni Shari'at Ka
Zaban-E-Khar Kis Kis Dard Se Un Ko Sunati He
Tarapna Dasht-E-Taiba Me Jigar Afgar-Furqat Ka
Sirhane Un Ke Bismil Ke Ye Betabi Ka Matam He
Shahe Kausar Tarahham Tishnahjata He Ziyarat Ka
Jinhen Markad Me Ta Hashr Ummati Kah Kar Pukaroge
Hamen Bhi Yad Kar Lo Un Me Sadqa Apni Rahmat Ka
Woh Chamke Bijliyan Ya Rab Tajalli Haye Janan Se
Ke Chashm-E-Toor Surma Ho Dil Mushtaq Rooyat Ka
Raza-E-Khasta Josh-E-Behr-E-'Isiyan Se Na Ghabrana
Kabhi To Hath Ajayega Daman Unki Rahmat Ka
Lam yati naziruka fee nazarin misle to na shud paida jana,
Jag raaj ko taj tore sarso he tujh ko shahe do sara jana.
Al-bahru 'alaa wal mauju taghaa mann bekas-o-toofan hosh ruba,
Manjdhaar mein hoon bigri hay hawa mori nayya paar laga jaana.
Ya shamsu nazarti ilaa lailee chu ba Taiba rasi 'arz-e-ba kuni,
Arruhu fidaaka fazid harqaa
yak sho'la digar barzan 'ishqaa,
Mora tan man dhan sab phoonk diyaa,
ye jaan bhi pyaare jalaa jaana.
Bas khama-e kham-e-nawa-e RAZA
na ye tarz meri na ye rang mera
Irshad-e ahibba natiq tha,
nachar is rah parra jana.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें